Tuesday, November 14, 2017

Khane-E-Zehra Aala Kyoon...By Syed Saulat Husain Zaidi 'Saulat Senthali


Tum Jo Humse Pooch Rahe Ho, Khane-E-Zehra Aala Kyon,
Kya Hum Tumse Pooche Eska Masjid Me Darwaza Kyon;

Ae Shabe-Hijrat Too Hi Bata De, Kaash Hua Tha Aisa Kyon,
Yadde Khuda Me Jaagne Wala, Yaade Nabi Be Soya Kyon;


Zaate Ali Pe Behas Tumhaari Humko yoon Mehsoos Hua
Jaise Baccha Pooch Raha Ho B-E Ke Neeche Nukta Kyon;

Humko Kuch Maloom Nahi Hai, Jao Khuda Se Baath Karo;
Magrib Se Kyon Palta Sooraj, Dar Pe Sitara Utra Kyon;

Dar Pe Ali Ke Jao Ki Roti Aasani Se Mil Jaati,
Aap ne Aaadam Baaghe Jina Me Gehu Ka Daana Khaya Kyon;

Ab Duniya Ko Sochna Hoga Kisko Kaise Chot Lagi,
Hamne Kiya Shabbir Ka Maatam, Aapka Sina Dehla Kyon;

Sher Ki Beti, Sher Ki Mathar, Sabko Batati Rehti Thi,
Maa Ki Nasihat Bhool Ke Marhab Haider Se Takraya Kyon;

Iska Sabab Bhi Aap Hi Dhoonde Aap ko Jo Taklif Hui,
Humne Kiya Tha Aaag Pe Maatam, Aapne Maatam Dekha Kyon;

Apni Baate Chor Ke Saulat Khaibar Ki Kuch Baat Karo,
Phir Socho Ye Naame Girami Khybar Me Kaam Aaaya Kyon;

(This Salam is written By Syed Saulat Husain Zaidi 'Saulat Senthali')







Introduction: This salam is written by Syed Saulat Husain Zaidi, a prominent urdu poet from Senthal, a town in India's northern Bareilly district.



Ghazi Ko Dilawar Ko Nazar Dhoond Rahi Hai

Ghazi ko dilawar ko nazar dhoond rahi hai


Makhtal me baradar ko nazar dhoond rahi hai


Tha hasra ka hangama yeh tanhai ka aalam


Har ek gazanfar ko nazar dhoond rahi hai




Aaye jo madad ke liye aisa nahi koi


Bekas ko jo de aake sahara nahi koi


Sarwar ko bhare ghar ko nazar dhoond rahi hai


Ghazi ko .........




Ek khoon bhari nanhi si tasveer ka lasha


Hatho pe uthaa rakha hai besheer ka lasha


Aur banue muztar ko nazar dhoond rahi hai


Ghazi ko ..............




Ab khaime main besheer sa bachcha nahi koi


Juz aabide bemaar ke zinda nahi koi


Aulaad e payombar ko nazar dhoond rahi hai


Ghazi ko............




Matam ki sada ko bhi bara deejiye saulat


Ab farshe aza ko bho bhicha dijiye saulat


Kya madar e sarwar ko nazar dhoond rahi hai


Ghazi ko dilawar ko nazar dhoond rahi hai


Monday, April 2, 2012

Yoon Shamil-E-Sahifa-E-Gham Ho Gae To Kya


Yoon Shamil-E-Sahifa-E-Gham Ho Gae To Kya,
Be Rabt Haashion Pe Raqam Ho Gae To Kya;
Khuddariyon Ka Daur Hi Baaqi Nahi Raha,
Sar Kuch Buland Logo Ke Kam Ho Gae To Kya;
Akhbaar Me Likhi Har Baat Jhoot Hai’
Kuch Sacche Waqayaat Raqam Ho Gae To Kya;
Kufe Ki Sarzamee Ki Sada Tang Hi Rahi,
Ashaab Hamare Bhi Kam Ho gae To Kya;
Ankhon Ke Ashk, Tan Ka Lahoo Choosne Ke Baad,
Hholay Agar Fasad Ke Kam Ho Gae To Kya;
Ae Dil Thujhs Saliqa-E-Izhaare-Gham Na Tha,
Kuch Gham Suparde Dida-e-nam Ho Gae To Kya;
Saulat Tumhaare Haath Me Ek Phool Bhi Nahi,
Shakh-E-Shajar Pe Naam Raqam Ho Gae To Kya.

(This Ghazal is written by Syed Saulat Husain Zaidi ‘Saulat Sethali,’ a renowned Urdu poet from Senthal, Bareilly.)

Aadat Meri


Aadat Meri Duniya Se Chipaane Ki Nahi Thi,
Wo Baat Bhi Kah Di Jo Batane Ki Nahi Thi;
Mai Khush Hoon Bahut Gard Ko Aaeene Pe Dekh,
Di Wo Mujhe Suraat Jo Dikhane Ki Nahi Thi;
Accha Huha Neend Aa Gai Arbaabe Wafa Ko’
Aage Ye Kahani Bhi Sunane Ki Nahi Thi;
Hum Kha Gae Dhoka Teri Aakhon Ki Nami Se,
Wo Chont Dikhadi Jo Dhikhane Ki Nahi Thi;
Yoon Dil Ko Kiya Shola-e-gham Tere Hawale,
Is Ghar Me Koi Cheez Bachane Ki Nahi Thi;
Kuch Esliye Apna Na Saka Usko Zaamana,
Saulat Ki Jo Aadat Thi, Zamaane Ki Nahi Thi;

(This Ghazal is written by Syed Saulat Husain Zaidi ‘Saulat Sethali,’ a renowned Urdu poet from Senthal, Bareilly.)

Anjaan-e-Humnashini....

Anjaan-e-Humnashini Gul Par Nazar Na Jaye,
Titli Kahi Khud Apne Paron Par Bikhar Na jae;
Mujhko Libaase Shahar Ki Wardi Azeez Hai,
Dekh Aaae Hawa, Gubaar Ki chadar Utar Na jae;
Mauzue Hijr-E-Yaar Bhi Dilchasm Hai Magar,
Sham-E-Alam Chiraagh Ki Lau Par Thahar Na jae;
Meri Tarah Hi Sochte Ye Kasash Humsafar,
Aise Chalen Ke Gard Kisi Aur Par Na Jaae;
Daure Jadeed Tu Meri Taswir Ko Na Dekh,
Mai Jisko Chahta Nahi Wo Rang Bhar Na jae;
Kal Raat Thartharaati Kahi La-u Chirragh Ki,
Saulat Ye Khauf Tha Meri Parchai-i Dar Na Jae;
(This Ghazal is written by Syed Saulat Husain Zaidi ‘Saulat Sethali,’ a renowned Urdu poet from Senthal, Bareilly.)

Aaamada Wahi Karte Hain Parwaaz Pe Saulat

Himmat Mein Kami Koi Na Par Toote Hue Hain,

Rishte Hai Khawabon Se, Magar Toote Hue Hai;

Is Simt Se Niklegi Har Ek Unchi Sawari’

Basti Ye Gharibon Ki Hai, Ghar Toote Hue Hai;

Diwanon Ne Pahnai Thi Diwano Ko Shayad,

Sab Halqa Zanjeer, Agar Toote Hue Hai;

Zinda Shab-E-Furqat Ke Sitare Bhi Hai, Humbhi,

Dil Sabke Magar Waqt-E-Sahar Toote Hue Hai;

Shayad Ke Phir Housle Ho Jaenge Uonche,

Unne Na Khabar Paae Ke Par Toote Hue Hai;

Aaamada Wahi Karte Hain Parwaaz Pe Saulat,

Jo Khoob Samajhte Hai ke Par Toote Hue Hai;


(This Ghazal is written by Syed Saulat Husain Zaidi ‘Saulat Sethali,’ a renowned Urdu poet from Senthal, Bareilly.)

Saturday, January 28, 2012

GHAZI KO DILAWAR KO

GHAZI KO DILAWAR KO NAZAR DHOOND RAHI HAI
MAKHTAL MAIN BARADAR KO NAZAR DHOOND RAHI HAI
THA HASRA KA HANGAMA YEH TANHAI KA AALAM
HAR EK GAZANFAR KO NAZAR DHOOND RAHI HAI
GHAZI HO.................................

AAYE JO MADAD KE LIYE AISA NAHI KOI
BEKAS KO JO DE AAKE SAHARA NAHI KOI
SARWAR KO BHARE GHAR KO NAZAR DHOOND RAHI HAI
GHAZI KO..........................

EK KHOON BHARI NANHI SI TASVEER KA LASHA
HATHO PE UTHA RAKHA HAI BESHEER KA LASHA
AUR BANU E MUZTAR KO NAZAR DHOOND RAHI HAI
GHAZI KO......................

AB KHAIME MAIN BESHEER SA BACHCHA NAHI KOI
JUZ AABIDE BEEMAAR KE ZINDA NAHI KOI
AULAAD E PAYOMBAR KO NAZAR DHOOND RAHI HAI
GHAZI KO................

MATAM KI SADA KO BHI BARA DIJIYE SAULAT
AB FARSHE AZA KO BHI BHICHA DIJIYE SAULAT
KYA MADAR E SARWAR KO NAZAR DHOOND RAHI HAI
GHAZI KO DILAWAR KO NAZAR DHOOND RAHI HAI